Khamoshi
Hot hilte nahin, juban chalti nahin,
kissine kuch suna nahin, Kya ye khamoshi hei, kya ye sukoon hei
Hot thaar'rate hein, aankh darde daastaan bayan karti hei,
dil mein ik tufaan si uthti hei, ruh kaampsi jaati hei,

Ik tamanna hei ki nazronki zuban koi to samjhe,
Dil mein lage choton par koi to pyaar ka malham lagaaye
kamse kam itna to kahe, haan, hum tumhaare saath hein, humtumhaare hum safar hein
zubaanse bayan nahin hoti to aankho se kahe
Ik nazar humpe nazar kare, apni ik dhadkan hamare naam kare
Khaamoshi dehkta angaara hei, aag ka shola hei,
tufaan hei, bawandar hei
Kaun kehta hei, khaamoshi ki zubaan nahin hei?

0 Comments:
Post a Comment
<< Home