My Personal Blog

This is my personal blog where I post my rants, musings and thoughts on my personal issues and opinions.

Tuesday, November 22, 2005

Mera Muqaddar..

Woh bewafa shayaad kabhi na the,
wafayen to thi, raqeeb se, kiska kya kasoor?

Diye ko mere ghar se koi beir nahin,
baad diwali, ghar hi naraha, kiska kya kasoor?

mere wafao.n mein koi khot nahin,
wafa ke haqdaar aaj nahin rahe, kiska kya kasoor?

mujhmein sachchai ki koi kami nahin,
sach saamne na aa saka, kiska kya kasoor?

koshishe.n to humne hazaar ki,
unki nazar mein hum na aaye, kiska kya kasoor?

chanda bhi hei, tare bhin hein,
magar aasman par hein baadal, kiska kya kasoor?

hamare saamne, kal ik baraat thi,
baraat hamaari na thi, kiska kya kasoor?

thi shaadi, nikli thi baraat,
hamen nyota bhi nahin tha, kiska kya kasoor?

noor-e-nazar thi woh hamaari,
unhe do nazar dekh bhi na paye, kiska kya kasoor?

kal mere khwabon thi woh aayi,
muqaddar-e-gumnaam woh na thi, kis ka kya kasoor?

0 Comments:

Post a Comment

<< Home