Intejaar
Jinda hein is tarah ki jindegi nahin,
Maut isi pal aajaye to bhi koi shikwa nahin.
Ik muddat ho gayi hei, uske deedar kiye hue
Sadiya beet chuki hein, ruh jism se alag hue.
Raqeeb ne jab diya Uska saath, hum to besahara hogaye
Sirf ik nazar ki aas thi, aaj to woh bhi beimaani hogayi.
Aaj khuda ki nazar us par padi, to woh dang reh gaya,
Uske chahne walon-mein, khuda bhi shaamil ho gaya.
Nahin use maut nahin aayi, maut ki itni aukaad nahin,
Usne jannat mein ghar kar liya, par humen bhulaaya nahin.
Hamein Nyota mil chuka hei, hum kabse tayyar khade hein,
Humne khabar bhijwadi hei, ab sirf sawari ani ki der hei.
Jinda hein is tarah ki jindegi nahin,
Maut isi pal aajaye to humse khusqismat koi nahin.

0 Comments:
Post a Comment
<< Home